Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe Aa…
Umar guzri tujhe dekhe huye behlaye huye…
Yaad hai ?
Yaad hai hum tujhe dil mante they…
Apne seene mein machalta hua zidi bacha…
Tere har naaz ko ungli se pakar kar aksar…
Net naye khoab ke bazaar mein ley Aate they…
Tere har nakhre ki farmaish par…
Ake jeewan ki tamannaon ki benayi se…
Hum dekhte thakte hi na they…
Sochte they…
Ake chota sa naya ghar…
Muhabbat ki fiza, hum dono…
Aur kisi baat pe taqiyon se larai apni…
Phir larai mein kabhi hanste huye ro parna…
Aur kabhi rote huye hans parna…
Phir thak haar kar gir parne ka masoom khushi bakhsh khayal…
Yaad hai ?
Hum tujhe sukh jante they…
Raat hans parti thi besaakhta darshan se tere…
Din teri doori se ro parta tha…
Yaad hai ?
Yaad hai hum tujhe jaan kaha karte they…
Teri khamoshi se mar jate they…
Teri awaz se jee uthte they…
Tujh ko choo lene se ek zindagi Aa jati thi sharyano mein…
Thaam lene se koi shaher sa bas jata tha veerano mein…
Yaad hai ?
Yaad hai hum tujhe milne ke liye waqat se pehle pohnch jate they…
Aur mulaqat ke baad…
Hum bohut dair se ghar Aate to kehte…
Humein kuch na kaho hum bohut door se ghar aye hein…
Is qadar door se ghar aye hein ke shaid hi koi Aa paye…
Yaad hai ?
Yaad hai hum tujhe bhagwaan samjhte they…
Magar kufar se dar jate they…
Tere chin jane ka dar theek se rakhta tha musalman humhein…
Yaad hai ?
Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe Aa…
Tere bhoole huye raste pe liye phirta hai imaan humein…
Aur kehta hai ke pehchaan humein…
Yaad hai ?
Hum tujhe imaan kaha karte they…
Hum tujhe imaan kaha karte they…